Ye To Allah Ko Khabar Song Lyrics from the movie/album Katilon Ke Kaatil released in the year 2016 starring Dharmendra, Rishi Kapoor. The song Ye To Allah Ko Khabar was sung by Mohammed Rafi. This movie/album was directed by Anil Hingorani, Arjun Hingorani. The music was given by Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah. The lyrics were Penned by Rajendra Krishan. The music rights for song purely belongs to Polydor

Ye To Allah Ko Khabar Lyrics

Thagte Dekhe Hai Lakho Mulla
Karodo Pandit Hazaro Sayane
Jo Khub Socha Samjh Me Aaya
Khuda Ki Bate Khuda Hi Jane

Aake Duniya Me Basar Kam Karna Hai Jo Kar
Aake Duniya Me Basar Kam Karna Hai Jo Kar
Saph Niyat Hai Agar Phir Na Anjam Se Dar
Jane Padti Hai Kidhar Uski Rehmat Ki Nazar
Jane Padti Hai Kidhar Uski Rehmat Ki Nazar
Ye To Allah Ko Khabar Ye To Mulla Ko Khabar
Ye To Allah Ko Khabar Ye To Mulla Ko Khabar

Dekhte Dekhte Kyu Khel Bigad Jate Hai
Dekhte Dekhte Kyu Khel Bigad Jate Hai
Kyu Baharo Me Bhare Bag Ujad Jate Hai
Pyar Se Pala Jinhe Apna Lahu De Dekar
Usi Dali Se Wohi Phul Bichhad Jate Hai
Kisi Zalim Ka Bache,kisi Zalim Ka Bache
Lute Mazlum Ka Ghar, Lute Mazlum Ka Ghar
Ye To Allah Ko Khabar Ye To Mulla Ko Khabar
Ye To Allah Ko Khabar Ye To Mulla Ko Khabar

Wo Jo Chahe To Bura Waqt Bhi Tal Sakta Hai
Wo Jo Chahe To Bura Waqt Bhi Tal Sakta Hai
Wo Hi Kismat Ki Lakiro Ko Badal Sakta Hai
Jat Apr Uski Bharosa Hai To Bande Ek Din
Rat Ke Sine Se Suraj Bhi Nikal Sakta Hai
Aadmi Ko Kya Khabar, Aadmi Ko Kya Khabar
Uski Manjil Hai Kidhar, Uski Manjil Hai Kidhar
Ye To Allah Ko Khabar Ye To Mulla Ko Khabar
Ye To Allah Ko Khabar Ye To Mulla Ko Khabar

Jane Kis Bhent Me Kis Mod Pe Wo Mil Jaye
Jane Kis Bhetn Me Kis Mod Pe Wo Mil Jaye
Teri Ummid Ki Har Ek Kali Khil Jaye
Dil Se Nikli Huyi Fariyaad Me Wo Takat Hai
Wo Jo Sun Le To Pahado Ka Bhi Dil Hil Jaye
Mangte Rahna Dua, Mangte Rahna Dua
Hoga Kis Waqt Asar, Hoga Kis Waqt Asar
Ye To Allah Ko Khabar Ye To Mulla Ko Khabar
Ye To Allah Ko Khabar Ye To Mulla Ko Khabar

Zulm Ki Aag Me Zalim Ko Jalaya Usne
Zulm Ki Aag Me Zalim Ko Jalaya Usne
Ek Majdur Ka Ghar Phir Se Basaya Usne
Naam Leta Huya Uska Jo Swali Aaye
Uske Darbar Se Hargij Na Wo Khali Jaye
Uske Ghar Der Sahi, Uske Ghar Der Sahi
Nahi Andher Magar, Jane Padti Hai Kidhar
Uski Rehmat Ki Nazar Uski Rehmat Ki Nazar
Ye To Allah Ko Khabar Ye To Mulla Ko Khabar
Ye To Allah Ko Khabar Ye To Mulla Ko Khabar.

Share your thoughts

Katilon ke kaatil, Kalyanji anandji hit songs, Rishi kapoor songs, Katilon ke kaatil songs, Katilon ke kaatil 1981 songs, Rishi kapoor, Dharmendra, Dharmendra zeenat aman songs, Mahendra kapoor songs, Dharmendra songs, Shashi kapoor song, Allah ke liye, Shashi kapoor, Mohammad irfan, Rajinder krishan songs, Mujhe aisa mila moti - pighalta aasman, Old romantic hindi songs, Too hai kamaal song, Lata mangeshkar hits, Zeenat aman songs, Old romantic songs