Puchh Rahe The Yaar Song Lyrics from the movie/album Shadi Ki Raat released in the year 2016 starring Rehman, Geeta Bali. The song Puchh Rahe The Yaar was sung by Surinder Kaur, Talat Mahmood. This movie/album was directed by Yeshwant Pethkar. The music was given by Govind Ram. The lyrics were Penned by Sarshar Sailani. The music rights for song purely belongs to Saregama

Puchh Rahe The Yaar Lyrics

Puchh Rahe The Yaar
Puchh Rahe The Yaar
Ke Biwi Ke Biwi Kaisi Ho
Lo Suniye Sarkaar
Ke Biwi Ke Biwi Kaisi Ho
Lo Suniye Sarkaar
Ke Biwi Ke Biwi Kaisi Ho

Jiske Husn Ki Shohrat Yaaro
Door Door Tak Phaili Ho
Aankh Na Jis Per Daali Jaaye
Haath Lagaaye Maili Ho
Naaz O Ada Ki Putli Bhi Wo
Aur Wo Up To Date Bhi Ho
Shokh Bhi Ho Wo Chanchal Bhi Ho
Aur Bhi Nek Ho Apni Hai Ye Raay
Ke Biwi Ke Biwi Aisi Ho
Lo Suniye Sarkaar
Ke Biwi Ke Biwi Kaisi Ho

Puchh Rahin Thhi Sakhiya
Shauhar Kaisa Ho
Puchh Rahin Thhi Sakhiya
Shauhar Kaisa Ho
Aao Bataayen Tumhen Ke Shauhar
Ke Shauhar Aisa Ho
Aao Bataayen Tumhen Ke Shauhar
Ke Shauhar Aisa Ho

M A Ho Ya B A Lekin
Shahar Ka Rehne Waala Ho
M A Ho Ya B A Lekin
Shahar Ka Rehne Waala Ho
Baanka Uncha Chhail Chhabeela
Fashion Ka Matwaala Ho
Sair Sapaate Theatre Cinema
Har Cheez Ki Aazaadi Ho
Jab Ye Baaten Tay Ho Jaaye
Phir Dono Ki Shaadi Ho
Phir Dono Ki Shaadi Ho
Apni Hai Ye Raay
Ke Shauhar Ke Shauhar Aisa Ho
Aao Bataayen Tumhen Ke Shauhar
Ke Shauhar Aisa Ho

Roop Jawaani Nakhre Wakhre
Do Din Ke Mehmaan Hain Sab
In Baaton Per Marne Waale Ae Ae
Sach Puchho Nadaan Hain Sab
Chamak Uthe Ghar Baithe Hi
Sarkaar Sitaara Yaaro Ka
Biwi Agar Dahez Mein
Leker Aaye Maal Hazaaro Ka
Apni Hai Ye Raay
Ke Biwi Ke Biwi Aisi Ho
Lo Suniye Sarkaar
Ke Biwi Ke Biwi Kaisi Ho.

Share your thoughts

Taarak mehta ka ooltah chashmah, Surinder kaur, Taarak mehta latest episode, Best of surinder kaur, Qamar jalalabadi, Talat, Best of qamar jalalabadi, Surinder, Funny taarak mehta videos, Lyrics, Taarak mehta funny, Taarak mehta comedy, Taarak mehta comedy scenes, Shadi, Babita and jethalal funny, Tarak maheta ka ulta chasma, Sasadhar mukherjee productions, Chandra mohan, Badnam na ho jaye mohabbat ka fasana, Jethalal babita funny, Jethalal, Mastkalandr, Ghulam haider