Ghumta Hai Toota Toota
Parinda Rootha Rootha
Ghumta Hai Toota Toota
Parinda Rootha Rootha
Toota Toota Parinda Rutha Rutha
Toota Toota Parinda Rutha Rutha
Keh Dena Duniya Se Main Duniya Ke Nakaabil Hai
Teji Duniya Me Mera Dil Haule Chalta Hai Kaafi
Yaha Talware Hathon Me Aur Apne Hatho Mein Hai Syaahi
Inko Haye Ki Aadat Hai Hame Adate-e-waah Wahi
Jhooth Chehre Pe Bolu To Fir Main Khaas Kaise Hua
Sach Bola Na To Fir Tere Dil Ke Paas Kaise Hua
Umeedo Pe Khara Ni Toh Teri Aas Kaise Hua
Ye Insaniyat Hai Jalti Ye Koi Ghaas Ka Ni Dhuaa
We Are Dying Ya Fir Zinda Hai Koi
Pehle Lagta Mujhe Bhi Karm Likhta Hai Koi
Main Galat Hota Hoon Par Mujhe Galat Dikhata Aur Koi
Jo Pehlu Badle Har Mauke Pe Chalta Sikka Hai Wohi
Ye Bhukh Khane Pe Aur Jyada Badti Ja Rahi Hai
Jalti Insaniyat Toh Fir Dharti Ye Tapti Ja Rahi Hai
Logo Ko Dil Hue Thande Ya Itni Sardi Chha Gayi Hai
Banana Hai Ghar To Pahuncha Hoon Ghar Bhi Na Sahi Se Kyuki
Gharaunda Bacha Na Ujad Gayi Daali Daali
Aasman Hai Veerana Jahan Hai Khali Khali
Uddu Main Kaha Ko Pata Na Hai Manzil Ka
Puchhe Koi Naam Tera Toh Maine Hai Rab Likha
Uda Kaaga Uda Aasmaan Mein
Ghar Se Dur Jaye Gharwalo Ki Baat Maan Ke
Shuru Rasta Hua To Dil Hai Har Maan Le
Par Chalna Iklauta Rasta Jeevan Raag Samne
Nayi Jagah Nayi Hawa Naye Badal Nayi Wajah
Dheere Dheere Lagne Lagi Apne Ghosle Ki Tarah
Door Gharse Naya Makan Itna Hosh Hi Hai Kahan
Par Ye Makaan To Fir Aksar Ghar Pe Lautne Ki Tadap
Parinde Ka Ghute Dum
Parinda Ko Mile Tum Milke Bole Na Koi Ham
Parinda Hai Bheed Mein Par Sunsan Lage Sab
Parinde Ko Maa Ki Yaad Aaye Par Bole Na
Usse Aati Hai Sharam
Parinda Hai Pareshaan Usse Ghosle Na Mile
Ghar Ki Bhare Wo Udaan Par Koi Honsla Na Mile
Asmaan Ude Wo To Usse Josh Kaha Mile
Dosh Dene Wali Duniya Mein Yahan Dost Kaha Mile Bata
Maramari Machi Dane Dane Ki
Yaha Hodh Machi Niche Gira Ke Bas Aage Jaane Ki
Dekhne Wale Duniya Nahi Ye Dikhane Wale Ki
Roti Kamani Nahi Cheen Ni Hai Khane Wale Ki
Mile Sabko Yaha Jagah Kaafi
Fir Pade Kaafi Na Ye Jagah Sabko Ruthke Ye Gila
Insano Mein Bhi Kaafi Maine Dhundhe Hai Insan
Par Ek Bhi Na Mujhe Kahi Dhundhne Pe Mila
Udd Ja Kaaga Re
Tora Ambar Toke Pukare
Udd Ja Kaaga Re
Tora Ambar Toke Pukare
Ghumta Hai Toota Toota
Parinda Rootha Rootha
Ghumta Hai Toota Toota
Parinda Rootha Rootha
Toota Toota Parinda Rutha Rutha
Toota Toota Parinda Rutha Rutha
Parinda Song Lyrics from the movie/album Flying Towards The City released in the year 2024. The song Parinda was sung by Priyanka Meher, Panther. The music was given by Nikhil-Swapnil. The lyrics were Penned by Panther. The music rights for song purely belongs to Panther
Share your thoughts