Ab Kya Misaal Doon Song Lyrics

Ab Kya Misaal Doon Lyrics

Ab Kya Misaal Doon Main Tumhare Shabaab Ki
Insaan Ban Gayi Hai Kiran Mahtaab Ki

Chehre Mein Ghul Gaya Hai Haseen Chandni Ka Noor
Aankhon Mein Hai Chaman Ki Jawan Raat Ka Suroor
Gardan Hai Ek Jhuki Hui Daali Gulaab Ki
Ab Kya Misaal Doon…

Gesu Khule To Shaam Ke Dil Se Dhuan Uthe
Chhu Le Kadam To Jhuke Na Phir Aasman Uthe
Sau Baar Jhilmilaye Shama Aaftab Ki
Ab Kya Misaal Doon…

Deewar-o-dar Ka Rang, Yeh Aanchal, Yeh Pairhan
Ghar Ka Mere Chirag Hai Boota Sa Yeh Badan
Tasveer Ho Tumhi Jannat Ke Khwab Ki
Ab Kya Misaal Doon…

Share your thoughts

Ab kya misaal doon, Ab kya misaal doon lyrics, Mohammed rafi songs, Mohammed rafi, Aarti 1962 full movie, Aarti all songs, Aarti 1962 songs, Ab kya misaal doon ( movie aarti 1962 ), Aarti (1962), Mohammad rafi, Aarti 1962 movie songs, Ab kya misaal doon song, Ab kya misaal doon main tumhare - aarti 1962, Ab kya misaal doon song lyrics, Aarti movie songs, Ab kya misaal doon main tumhare shabab ki lyrics, Ab kya misaal doon mohd rafi, Aarti, Ab kya misal doon