Ek Bar Dharti Par Aakar Dekh Jara Bhagwan
Tere Hatho Aaj Huwa Barabad Tera Insan
Dekh Jara Bhagwan, (aakar Dekh Jara Bhagwan -2)
Julm Kiya Kyon Palanhare, Chita Ban Gayi Hai Dware Dware
Mann Ki Godi Aaj Bani Hai Ek Jalta Shamshan
Dekh Jara Bhagwan, (aakar Dekh Jara Bhagwan -2)
Bichhad Gaya Hai Bahan Se Bhayi, Dulhan Ki Tuti Shehanayi
Hay Pita Ne Marte Dekha Apna Putra Javan
Dekh Jara Bhagwan, (aakar Dekh Jara Bhagwan -2)
Mandir Ki Ro Rahi Divare, Masjid Bhi Abb Yahi Pukare
Wahi Hai Dharti, Wahi Gagan Hai, Kaha Tera Iman
Dekh Jara Bhagwan, (aakar Dekh Jara Bhagwan -2)
Tera Dekha Kub Tamasha Palat Gaya Kismat Kaa Pasa
Badal Dal Abb Nam Too Apna O Rahbar Rehman
Dekh Jara Bhagwan, Ek Bar Dharti Par
Aakar Dekh Jara Bhagwan – (2)
Ek Bar Dharti Par Aakar Song Lyrics from the movie/album Banjaarin. The song Ek Bar Dharti Par Aakar was sung by Mukesh
Share your thoughts