Aisa Kyon Hota Hai Song Lyrics from the movie/album Dharm Aur Qanoon released in the year 2013 starring Rajesh Khanna, Dharmendra. The song Aisa Kyon Hota Hai was sung by Bhupinder Singh. This movie/album was directed by Joshiy. The music was given by Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah. The lyrics were Penned by Anjaan. The music rights for song purely belongs to Saregama

Aisa Kyon Hota Hai Lyrics

Vidhi Ke Vidhan Se Dharm Bana
Insaano Ne Kanoon Racha
Inke Hote Bhi Dharti Par
Anyay Se Aankhir Kaun Bacha
Yeh Jeevan Hai Kurukshetra Yaha
Anyay Yeh Jab Jab Hota Hai
Tab Dharm Kahan Kho Jata Hai
Kanoon Kahan Tab Sota Hai

Aisa Kyon Hota Hai Aakhir
Aisa Kyon Hota Hai
Yeh Baat Koi To Batalaye
Yeh Raaz Koi To Samajhaye
Aisa Kyon Hota Hai Aakhir
Aisa Kyon Hota Hai

Aparadh Yaha Koi Aur Kare
Kisi Aur Ke Sar Ilzaam Lage
Yeh Aag Lagaye Aur Koi
Iss Aag Mein Koi Aur Jale
Sach Ka Na Sabut Mile Koi
Sach Ka Na Sabut Mile Koi
Insaaf Pe Koi Bas Na Chale
Bas Na Chale
Aisa Kyon Hota Hai Aakhir
Aisa Kyon Hota Hai

Sapno Ka Marmari Taaj Mahal
Sapno Ka Marmari Taaj Mahal
Ek Thokar Mein Geer Jata Hai
Do Aankhon Se Aansu Ban Kar
Jeevan Ka Pyar Beh Jata Hai
Kaise Koi Dil Patthar Ban Kar
Kaise Koi Dil Patthar Ban Kar
Yeh Zulmo Sitam Seh Jata Hai
Seh Jata Hai
Aisa Kyon Hota Hai Aakhir
Aisa Kyon Hota Hai

Do Pyar Bhari Ruho Mein Kaun
Nafarat Ka Zaher Bhar Jata Hai
Pal Bhar Na Bichad Ne Walo Ko
Pal Bhar Mein Juda Kar Jata Hai
Wo Pyar Kaha Kho Jata Hai
Wo Pyar Kaha Kho Jata Hai
Vishvash Kaha Mar Jata Hai
Mar Jata Hai
Aisa Kyon Hota Hai Aakhir
Aisa Kyon Hota Hai
Yeh Baat Koi To Batalaye
Yeh Raaz Koi To Samajhaye
Aisa Kyon Hota Hai Aakhir
Aisa Kyon Hota Hai.

Share your thoughts

Rajesh khanna, Kalyanji anandji, Dharm aur qanoon (1984), Kalyanji anandji hit songs, Music by kalyanji anandji, Dharmendra, Kalyanji anandji special, Kalyanji – anandji, Kalyanji anandji hits, Hits of kalyanji – anandji, Rajesh khanna hit songs, Rajesh khanna song, Rajesh khanna songs, Dharmendra songs, Anandji, Tere chehre mein woh jadoo hai with lyrics, Kalyanji, Ek pyar ka nagma hai lyrics lata mangeshkar, Vinod khanna