Bachchon Tum Taqadir Ho Kal Ke Hindustaan Ki Song Lyrics from the movie/album Didi released in the year 2019 starring Sunil Dutt, Waheeda Rehman. The song Bachchon Tum Taqadir Ho Kal Ke Hindustaan Ki was sung by Mohammed Rafi, Asha Bhosle. This movie/album was directed by K Narayan Kale. The music was given by N Datta. The lyrics were Penned by Sahir Ludhianvi

Bachchon Tum Taqadir Ho Kal Ke Hindustaan Ki Lyrics

Bachho Tum Taqadir Ho Kal Ke Hindustaan Ki
Baapu Ke Vardaan Ki Neharu Ke Armaan Ki
Bachho Tum Taqadir Ho Kal Ke Hindustaan Ki
Baapu Ke Vardaan Ki Neharu Ke Armaan Ki
Achcho Tum Taqadir Ho

Aaj Ke Tute Khandaharo Par Tum Kal Kaa Desh Basaoge
Jo Ham Logo Se Na Huaa Vo Tum Kar Ke Dikhlaoge
Tum Nanhi Buniyaade Ho
Tum Nanhi Buniyaade Ho
Duniyaa Ke Naye Vidhaan Ki
Bachho Tum Taqadir Ho

Din-dharam Ke Naam Pe Koi Bij Phut Kaa Boye Naa
Jo Sadiyo Ke Baad Mili Hai Vo Aazadi Khoye Naa
Har Mazahab Se Unchi Hai
Har Mazahab Se Unchi Hai
Kimat Insaani Jaan Ki
Bachho Tum Taqadir Ho

Phir Koi Jaichand Na Ubhare Phir Koi Jaafar Na Uthe
Gairo Kaa Dil Khush Karne Ko Apno Par Khazar Na Uthe
Dhan-daulat Ke Laalach Me
Dhan-daulat Ke Laalach Me
Tauhin Na Ho Imaan Ki
Bachho Tum Taqadir Ho

Naari Ko Is Desh Ne Devi Kah Kar Daasi Jana Hai
Jisko Kuchh Adhikaar Na Ho Vo Ghar Ki Raani Mana Hai
Tum Aisa Aadar Mat Lena
Tum Aisa Aadar Mat Lena
Aad Ho Jo Apmaan Ki
Bachho Tum Taqadir Ho

Rah Na Sake Ab Is Duniyaa Me Yug Saramayadari Kaa
Tumako Jhandaa Laharana Hai Mehnat Ki Sardaari Ka
Tum Chaaho To
Tum Chaaho To
Badal Ke Rakh Do Kismat Har Insaan Ki
Bachho Tum Taqadir Ho Kal Ke Hindustaan Ki
Baapu Ke Vardaan Ki Neharu Ke Armaan Ki
Bachho Tum Taqadir Ho

Share your thoughts

Old hindi songs, Mohammed rafi, Asha bhosle songs, Mohammed rafi asha bhosle songs, Mohammed rafi songs, Asha bhosle, Asha bhosle ke gaane, Hindi songs, Hindustan, Hindi, Hindi classical songs hd, Mohammed rafi hits, Bachhon tum taqdeer ho, Mohammed rafi and lata mangeshkar stories, Best of talat and asha bhosle, Old hindi movies, Mohammed rafi and lata mangeshkar songs, Best old hindi songs, Mohammed rafi and lata mangeshkar singing