Prem Prabhu Ka Baras Raha Hai
Pi Le Amrut Pyase
Saato Tirath Tere Andar
Bahar Kise Talase
Kan Kan Me Hari Kshan Kshan Me Hari
Muskano Me Aanuvan Me Hari
Man Ki Aankhe Tune Kholi
To Hi Darshan Payega
Pata Nahi Kis Roop Main Aakar
Narayan Mil Jayega
Pata Nahi Kis Roop Main Aakar
Narayan Mil Jayega
Niyati Bhed Nahi Karti
Jo Leti Hai Wo Deti Hai
Jo Boyega Wo Katega
Ye Jag Karmo Ki Kheti Hai
Yadi Karm Tere Pawan Hai Sabhi
Dubegi Nahi Teri Naav Kabhi
Teri Bah Pakadne Ko
Wo Bhes Badal Ke Aayega
Pata Nahi Kis Roop Main Aakar
Narayan Mil Jayega
Pata Nahi Kis Roop Main Aakar
Narayan Mil Jayega
Neki Vyarth Nahi Jati
Hari Lekha Jokha Rakhte Hai
Oro Ko Ful Diye Jisne
Uske Bhi Hath Mahekte Hai
Neki Vyarth Nahi Jati
Hari Lekha Jokha Rakhte Hai
Oro Ko Ful Diye Jisne
Uske Bhi Hath Mahekte Hai
Koi Deep Mile To Baati Ban
Tu Bhi To Kisi Ka Sathi Ban
Man Ko Mansarovar Kar Le
To Hi Moti Payega
Pata Nahi Kis Roop Main Aakar
Narayan Mil Jayega
Pata Nahi Kis Roop Main Aakar
Narayan Mil Jayega
Kaan Lagake Baatein Sun Le
Sukhe Hue Darkhkto Ki
Leta Hai Bhagwan Pariksha
Sabse Pyaare Bhakto Ki
Ek Prashn Hai Gehra Jiski
Hari Ko Thah Lagani Hai
Teri Shraddha Sona Hai
Ya Bas Sone Ka Pani Hai
Jo Phool Dhare Har Daali Par
Viswas To Rakh Us Mali Par
Tere Bhagya Mai Patthar Hai To
Patthar Hi Khil Jayega
Pata Nahi Kis Roop Main Aakar
Narayan Mil Jayega
Pata Nahi Kis Roop Main Aakar
Narayan Mil Jayega
Pata Nahi Kis Roop Main Aakar
Narayan Mil Jayega
Share your thoughts